Aa gaya corona bahot kuch sikhane..
Aa gaya corona bahot kuch dene…
Dar aur mushkilo ke sath mila ‘waqt’.. Thoda nahi.. Bahot saara #lockdown
Par nahi h waqt fir bhi…
Waqt nahi h uss maa ke paas jo lagi h baccho ki farmaisho ko pura karne me…
Waqt nahi h uss patni ke paas khudke liye jo lagi h so called jimmedariyo ko pura karne me…
Waqt nahi h uss pati ke paas jo magn h har waqt apne phone me…
Waqt nahi h unn baccho ke paas jo vyast h apni apni jindagi jine me….
Toh kya hua agar hua ho lockdown aur mila ho dher saara waqt…. Nahi h waqt kisi ke paas ek dusre ke sath baat karne ke liye….
Bass abb itni si gujarish h, mat dena tum bahana ki waqt ni milta school, college office ya kaam ke wajah se…
Bass aaj itna samaz lena waqt nahi h tumhare paas bass apni wajah se….
Bass itna hi toh samazna h… Toh kya hua waqt hi toh nahi h dene ke liye…